Tuesday 10 March 2015

akbar ne kaha rokar ,,,,noha lyrics

Shabih e imam e zama(n) khechte hainTasawwur mei tasweer e jaan

khechte hainShabih e imam e, Kaha roo keh Akbar neh aiy dard tham jaa

Ke seene se baba sinaa khechte hainShabih e imam e

(Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa, Baba mere seene se sinaa khech rahey hain) x2

1.     (Aiy behtey lahu rukjaa) x2 hai wasta sughra ka

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa

2.     Patee mere baba neh ankho(n) pe nahi bandhi

Di hai khuley aankho(n) se ran mei meri qurbani

Ai dada khaleel awo hai waqt qayamat ka

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

3.     Yasrab ki taraf ankhey har dam meri rehti hai

Ab waqt bohat kam hai sansei(n) bhi ulajti hain

Qasid meri sughra ke jaldi se zara aajaa

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

4.     Akbar ki guzarish hai lillaha na rad karna

Jab aap ka shewa hai duniya ki madad karna

Baba ki madad karney aajayie ay dada

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

5.     Dekha nahi jaayegaa aankho(n) se kabhi meri

Tarpuga agar mei to taklif unhe hogi

Ulfat ka takaza hai larzey na badan mera

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

6.     Armaan jo dil mei hai dil mei hi na dafna deh

Aisa na ho Zainab ko jaa kar koi batladeh

Pyari phupi amaa(n) se bardaasht na yeh hoo gaa

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

7.     Marney ka nahi hai gham gham hai tou bus itnaa hai

Darwzey pe muddat se bethi huwi sughra hai

Sun kar ye khabar shayad mar jaayegi woh dukhiyaa

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa

Baba mere seene se sinaa khech rahey hain

No comments:

Post a Comment