Tuesday, 22 March 2016

Almas ki khwahish by noor ali noor lyrics






kalam by noor ali noor
==============

komail abbas void :kasida by mula abbas

almas ki khwahish ki na jabar zad ki tlab hai
har nafs ko ek alame sarmad ki talab hai
shohrat ka junun hai na muje takht ki talab hai
imdade madadgare mohammad ki talab hai
mil jaye sakina se jo khirat kalam ko
khud chumne ajayegi ayaat kalam ko

jo shere dilavar hai ye hai uska kasida
karbal ka jo jafar hai ye hai uska kasida
jo kuvvat e safdar hai ye hai uska kasida
haidar ka jo haidar hai ye hai uska kasida
ye mahe ali hashmi halo me pala hai
abbas imamat ke ujalo me pala hai

vallail ki ayat hai zulfo pe ni6avar
vannajma ki sab kirne hai akho pe ni6avar
val fajra ki lali hui hothon pe ni6avar
val asra ki tulani hai galo pe ni6avar
vashshams ki zo nakshe kafe pa pe fida hai
nalain uthaye hue zibril khada hai

islam vo mazhab hai ke jo deen e wafa hai
jo kare risalat hai vo tazhine wafa hai
inkare vila asla me tauhine wafa hai
kahete ho shariyat jise aine wafa hai
ab jaise chala haidare karrar ke pi6e
chalti hai subho arshe alamdar ke pi6e

har jist me burrakh thi raftar thi payham
jis muh se ajal barsare paykar ki payham
9 lakh ke lashkar me ye guftar ki payham
lekar rukhe haidar ki diya ata hai dekho
dariya pe nusairi ka khuda ata hai dekho

hai rob ke akho se hi kat jata hai dariya
abbas jo palte to palat jata hai dariya
talvar nikale to simat jata hai dariya
abbas ke kadmo se lipat jata hai dariya
is vare shujaat ki girahe bol jaha hai
abbas ke leheje me ali bol raha hai

ek kahere khuda vand hai abbas ki talvar
har fan me hunar mand hai abbas ki talvar
chandan se bhi to chand hai abbas ki talvar
nazro me nazar bandh hai abbas ki talvar
maktal me udati hai jo ye teg saro ko
failate nahi khof se jibril paro ko

amad hai ku6 aisi ke hade kad me nahi hai
akho ki chamak vo ke jabar jad me nahi hai
vo husna ke jo husna kisi had me nahi hai
duniya me kaha alam e sarmad me nahi hai
husne rukhe abbas aya ho nahi sakta
urdu me ye kuraan baya ho nahi sakta

No comments:

Post a Comment